Saturday 31 August 2013

Singer- Dr. Kumar Vishwas
Lyrics Writer- Dr. Kuamr Vishwas
 
Maang ki sindoor rekha
Tumse ye poochegi kal
Yoon mujhe sir par sajaane
Ka tumhein adhikaar kya hai
Tum kahogi wo samarpan
Bachpana tha to kahegi
Garv sabkuch bachpana tha
To kaho phir pyaar kya hai

Kal koi allad ayaana
Baanwra jhoka pawan ka
Jab tumhare ingiton par
Gandh bhar de ga chaman pe
Ya koi chanda dhara ka
Roop ka maara bechaara
Kalpana Ke Taar se
Nakshatra jad de ga gagan par
Tab yahi bichaue mahavar
Choodiyan gazre kahenge
Is amar saubhagaye ke
Shingaar ka adhaar kya hai

Kal koi dinkar Vijay Ka
Sehra sirpar sajaye
Jab tumhari sapat varni
Chaanv mein sone chale ga
Ya koi haara thaka
Vayakul sipahi jab tumhare
Vakhsh par dhar sheesh lekar
hichkiyan rone chale ga
Tab kisi tann par kaseedo
Vaah jud kar pooch lengi
Is pranay jeevan samar mein
Jeet kya hai haar kya hai

0 comments:

Post a Comment