Tuesday 27 August 2013

This song lyrics is taken from Ramanand Sagar Ramayan.
 
Do rajputra do tejvant do shaktimaan takrawe
teeran se kaate teeran ko teeran pe teer chalave.....

Har Har Mahadev Har Har Mahadev
 

Yah mahapratapi meghnaad jitne bhi shastra chalata hai....
jitne bhi shastra chalata hai....

uttar se aaya laxman sabke uttar deta jata hai...
uttar deta jata hai...
koi krant nahi dono mein koi nahi peechhe paanv hatata hai
nahi peechhe paanv hatata hai
yah mahasamar har baar aur bhi gahra hota jata hai
gahra hota jata hai
baano se nikle agni kabhi barsaat kabhi barsave....
teeran se kaate teeran ko teeran pe teer chalave.....
har har mahadev har har mahadev
 

Ek yudh kare bahubal se ek shastro par abhimaan kare
ek shastro par abhimaan kare
ek ram chandra ki jay bole ek ravan ka jaygaan kare
ravan ka jaygaan kare
muskaye ram ran dekh chakit sabko laxman ka baan kare
sabko laxman ka baan kare
yah mahasamar vah jeetega jisko vijayi bhagvaan kare
jisko vijayi bhagvaan kare
dono apne sanmaan hetu prano ka daanv lagave
teeran se kaate teeran ko teeran pe teer chalave.....
har har mahadev har har mahadev


Pal mein pratyaksh pal mein adrashay kabhi dharti par kabhi ambar mein
kabhi dharti par kabhi ambar mein
yah maya dhari meghnaad ati suksham roop dhare pal bhar mein
saumitra nahi kam kisi bhanti ran kaushal k is jouhar mein
ran kaushal k is jouhar mein
dono suveer dono ajay dono dono ki takkar mein
dono dono ki takkar mein
is mahasamar ko dekh dekh sur nar muni jan akulave


Kabhi jakar door kare prahar kabhi aa laxman k paas ladekabhi aa laxman k paas lade
shri ram shapath lekar laxman karne asuro ka naash lade
khud meghnaad k madhyam se ravan ki antim aas lade
sheshavtaar dhar lakhan roop ek raghuvar ka vishvaas lade
apne apne veero ki dono dal virdavali gaanve
teeran se kaate teeran ko teeran pe teer chalave.....
har har mahadev har har mahadev
har har mahadev har har mahadev

Newer Post
Previous
This is the last post.

12 comments: